Raksha Bandhan Song Lyrics (Title Track) - Shreya Ghoshal

Mastiorzo
By -

Raksha Bandhan Lyrics is the Latest Hindi Song the tittle of the Song is  Raksha Bandhan Sung by Shreya Ghoshal from the Bollywood Movie Raksha Bandhan  Starring Akshay Kumar And Bhumi Pednekar, the Music of the song has given by Himesh Reshammiya and Raksha Bandhan Song Lyrics are penned down by Irshad Kamil.


Raksha Bandhan Lyrics (Title Track) - Shreya Ghoshal 

Pehli yaari tumse meri

Pehla ghussa tumse tha

Bhai mere bachpan ka to

Poora kissa tumse tha


Aadha hissa tha woh mera

Aadha hissa tumse tha

Bhai mere bachpan ka to

Poora kissa tumse tha


Raksha bandhan waada hai

Yaa dhaaga hai pyaar ka

Ho dhaaga hai pyaar ka


Thoda sa hai chandan

Chota sa hai teeka

Bandhan zindagi ka,


Raksha bandhan waada hai

Yaa dhaaga hai pyaar ka

Ho dhaaga hai pyaar ka


Maa ki ik parchhayi si

Behan mein dikhayi deti

Aur pita nazar aate hain

Bhaiyon ki baat mein


Khoon ka yeh rishta bhi hai

Hai zuban ka naata bhi

Maan jo liya bhai to

Saans saans saath mein


Raksha bandhan waada hai

Yaa dhaaga hai pyaar ka

Ho dhaaga hai pyaar ka